How to Make a Website: Step by Step Guide In Urdu to Create a Website (2022) l Urdu Mai Seekho

 Aj mai apko bataonga ke kese ap apni website bana sakte ho scratch pe. Ye tutorial sabse asan wala tareeqa hoga apni website create karne ka scratch pe.



So agar ap new ho 

ya 

ap soch rahe ho e apke pass professional skills nahi hain to koi bat nahi.Ap sahi jagah pe ho.

Kynk ke ap reh rahe ho 2022 mai, ninties mai nahi kyn ke 90's mai website banana boht hi mushkil kam tha kynk hamare pass aise software nahi the jo asani se websites create karen. So 90s mai ye ek boht hi mushkil kam hua karta tha.


Mujhe pata hai ab bhi log soch rahe honge ke hamen Computer Language  C++ ya PHP seekhne ki zarorat hogi website banane ke liye. lekin apko pata hai waqt ke sath sath computers new world ko revolurized kiya hai, to ab ek website create karna boht hi asan hai ek student ke liye bhi.



How to create a website from scratch

Ab hamare pas aise boht se software hain jo websites create karte hain bina coding ko jane hi. to koi bhi insan apni website bana sakta hai scratch ko jan ke.

To kyn nahi aj ek website banai jae ?

Par ek bat yaad rakhen, website banane se pehle mai apko kuch chezen batana chahata hon jo apki help karengi apko successfull website banane mai.

So Ap Log Ready Ho?

Chalo Shuro karte hain 

Before Creating a website, you need to have these things.

Agar ap koi bhi chez banate ho, to apko kuch chezen chahiye hoti hain jo basic hoti hain, to wese hi kuch chezen hamen yahan chahiya hongi jo hamari website ko perfect banaengi.

1. Niche Website ke liye 

2. Domain

3. Hosting

To ye kuch 3 chezen hain jinki hamen zarorat padegi website banane ke liye. Mai ye 3 chezen chote tareeqe se samjhaonga apko, or apko bataonga ke hamen ye chezen kyn zarorat mai hain , or in chezon ko use karne ka maqsad kya hai.

1. What is Niche Website? Why it’s important?

Niche website ka matlab hai ke apko ek topic select karna hoga apki audiance ke liye i mean sirf wo topic jo specific audiance ko zarorat hogi.

Niche website hum is liye banate hain kynke ye websites rank jldi hoti hain or hamare pas pora plane bana hota hai ke hum kesi audiance ko rank karwaenge.

Suppose mai ek website banata hon jo bikes pe hai.

The topic bike jo ye topic hai ispe boht si audiance hoti hai; itni zyada audiance ka matlab ke competation bhi high hoga kynk yahan bikes ki companies bhi boht zyada hain jo apni websites ko rank karenge.

To kya ap sab compitators ko beat karloge? Nahi?

To kyn na hum isko itna specific karden ke hamen in compatitors ka samna na karna pade.

Kese?

Agr hum is topic bike ko tabdeel karden or likhen "BLACK BIKE IN MARCHESTER"

To isse kya hua humne sab companies ko nikal diya ab wo hamara compitition mai nahi hain, to ab kya hoga ab sirf hum un companies ko dekhenge jo sirf black bikes deti hai or company bhi machester wali hogi na ke hum pori country ya world ko focus karenge Samjhe Agar samjh na ae to comment zaror karen.

To beat zyada companies ko karna hamare liye website apni rank karne mai asani hogi to jldi rank ho jaegi kynk ab hamare pass specific audiance hai or specific competitators.


2. What is Domain? Why it’s important?

Domain jo hota hai apki website ka name hota hai.

Example of Domain

  • Facebook.com
  • twitter.com
Ye Domains hain.

Ab apko pata chal jaega ke domain kyn itna important hai kynk log issi se apki website ko search karte hain or apki website ko open karte hain or direct log website pe ajate hain . To ye sbse phli requirement hoti hai ke apko sbse phly apni website ka name chahiye hoga.

What is Domain Extention ?

Domain extention jo hota hai wo actually mai ap ke website ke name ke end mai jo hota hai usko bola jata hai.

Examples

  • .com for commercial
  • .org for Organization
  • .gov for Government .pk,.in, .US are the Country Code Domain extension for their particular country.
To apko chahiye ke ap apni website ke liye ek perfect Domain Name jo hai sochen, Jo apke bussiness ke mutabik name hona chahiye webiste niche.


Ap apne Domain mujood hai ya nahi buy karne ke liye check kar sakte hain ap Godaddy.com se perchase bhi kar sakte hain.

3. What is Hosting? Why is it important?

Hosting apko deta hai jagah jahan ap apna data rakh sate hain websites ka jo ap pori duniya mai kahin se bhi access kar sakte ho.

 Ya 

Hosting jo hai jagah deta hai servers ke zariye jahan se ap apni website pe files rakh sakte ho.

Isko dosre tareeqe mai samjhne ke liye socho ke tum ek ghar banana chahate ho, sabse pehle apko property chahiya hogi land zameen jahan ap apna ghar banaoge. to ye jo hai wo jagah hai jahan ap apni website bana sakte ho.

to ye boht zarori hai space apka web data jo hai save karne ke liye.

Note : hosting buy karne se pehly ye chezen dimag mai rakhen:

1. Speed
2. Bandwidth
3.Disk Space

---> Read: How to get Perfect Hosting 

Wese to boht sare Hosting Providers hain, par mai apko batata hon ke unko use na karen agar apko professionally kam karna hai, ap apni website blogspot.com pe bhi bana sakte ho apna domain laga ke or wo apko free mai boht sara space deta hai, magar mai apko recommand karta hon agar ap apni website ke liye serious ho to ek professional platform pe apni website ko banaen jahan ap apne bussiness ko ache se control kar paenge.

Select Platform to Create a Website

Best free websites builders & Platforms: 

Yahan boht se aise websites builders hain jahan ap bager coding ke apni website bana sakte hain.

Agar ap new ho or apko nahi pata websites builders ka, to yahan kuch websites builders hain jahan se ap drag or drop karke website bana sakte ho.

Top 3 Website Builder to Create a website by Drag & Drop

  1. Wix
  2. Weebly
  3. Squarespace
Ye 3 ap use kar sakte ho apni website asani se banane ke liye sirf content ko drag karke or widgets or color wagera change karke or heading size change karke. Or bache bhi isse websites bana sakte hain in builders se asani se.

Personally Mai Apko Recommended karonga ke ap Wordpress pe apni website Banaen.

Why?

5 Reasons Ke kyn apko wordpress pe website banani chahiye.

  • Easy to use and learn
  • WordPress is extendable by using theme & Plugins
  • Search Engine Friendly.
  • Free Designed Themes available
  • Safe & Secure
Mai khud apni websites banane ke liye Wordpress ko use karta hon, or boht se or bhi jo mashoor platforms hain wo bhi wordpress hi use karte hain kynk ye open source hai or bussinnes ke liye ap hr feature istamal kar sakte ho usmai.

To ap bhi agae website banana chahate hain wrodpress pe to Great.

What is WordPress Theme & Why we need to have it?

Theme jo hoti hai wo ek design hai jo hr website ke front mai hota hai. 

So agar ap bhi wordpress pe website banana chahate hain to, theme zarori hai apki website ko professional look dene ke liye.

Free WordPress Themes

To apke pass agr itna budget nahi hai to khabrani ki baat nahi hai kynk wordpress ke pass apni free themes bhi hoti hain. To ap koi bhi theme ko select kar sakte hain apni website ke liye.

Paid WordPress Themes

Ap apne liye premium themes buy bhi kar sakte hain apne bussiness ko dekh themeforest website se.

ADVANTAGES

  • Apko jo bhi design chahiye uske tehat ap buy kar sakte ho.
  • Paid themes jo hoti hain usmai boht sare new functions bhi hote hain like widgets.
  • Asani se manage ki ja sakti hai.


---> Read Best WordPress Theme For Website

Agar ap mere article ko follow kar rahe ho to apke pass ab wo har chez hai jisse ap apni website bana sakte ho asani se.

To ek bar phir hum check karte hain confirmation ke liye 

  • Niche Selected
  • Domain Purchased
  • Hosting Purchased
  • WordPress Theme Purchased
Perfect, Ab hamare pass sabkuch hai.

Panic Na hoen Ab; Mai Apko akela nahi chodonga Yahan.

To chalte hain website ke initial development pe.


Create a Website from Scratch – Step by Step

How to Install WordPress

Pehli chez jo hamen karni hai ke hamari hosting mai wordpress ko install karna hai. Ye boht asan hai hosting mai wordpress install karna.

1. Login karo cpanel pe apni hosting ke.
2. Apko icon dikhega Wordpress ka.
3. Click here karke install karo.

Apni har information do website ki, or ye ek minute se kam leta hai install hone mai.

Maine step by step guide kiya hai pictures ke zariye, to ap Asani se install kar lena.



---> Read How to install WordPress - With Pictures Guide


How to install WordPress Theme on WordPress

2nd Step ye hai ke wordpress install karne ke apko uspe theme bhi install karni hogi.

Ye yaad rakhen ke ap free themes bhi use kar sakte hain jo wordpress ne di hui hain.

Agr apne theme perchase bhi ki wordpress ke liye to ap usse install bhi kar sakte ho step by step.

Maine Complete tareeqa bataya hai ke kese ap theme laga sakte hain images ke sath guide kitya hai.


---> Read How to install WordPress themes- With Pictures Guide

Install Important WordPress Plugins

3rd Step ye hai ke ap apne wordpress pe inportant jo plugins hain wo install karen. plugins hamen ache functions provide karta hai.

To yahan pe kuch boht important plugins hain jo apko install karne hote hain jo apki website ko asani se run karne mai help karte hain.

Mai sochta hon ke ye plugins hr kisi ko install karni chahiyen kynke ye boht zarori hoti hain.

List of Important WordPress Plugins

  1. Yoast SEO
  2. Jet Pack
  3. W3 Total Cache
  4. TinyMCE Advanced
  5. Akismet

Agar ap nahi jante ke kese install honge plugins wordpress pe to ye Read karen.

---> Read How to install WordPress Plugins 

Ab Apki jo website hai wo ban chuki hai scratch ke ki madad se. Ap isse customise kar sakte hain jese apko chahiye website apni or ap or bhi plugins install kar sakte hain agr apko chahiyen.

Ab post karen jo apki website ka niche hain or usse update rakhen apne kaam karne se.

But there is One More Important thing 

Index Website on Google

Apni website ko google pe index karna bhi ek boht hi important chez hai website ke liye, indexing ke bager apki website google pe show nahi hoti to isis liye ye bhi hi important point hai.

Pareshan na hoen ye itna difficult nahi hai apni new website ko index karna.

Just follow karo Guide ko 

---> Read How to index website on google

Congratulations, Apne apni website bana li hai.   






















टिप्पणियाँ